Why Program ? | Chapter 1 | Hindi & Urdu | Python For Everbody
0
Comments
Hello doston, aur Python for Everybody course ka pehla chapter mein aapka welcome hai!
Mera naam Abdul Hannan Irfan hai aur main aapka instructor hoon is course mein. Hamara goal yeh hai ki har kisi ko programming sikhaayein, chahe woh kisi bhi background se aaye. Aapko math ya computer expert hona zaruri nahi hai. Chaahe aap ki umar kya bhi ho ya background kaisa bhi ho, hum sabko programming sikhana chahte hain.
Yaad rakho, computers hamari help aur service ke liye banaye gaye hain. Wo humesha puch rahe hote hain "aap agla kaam kiya karna chahte ho?" Jaise, jab aap apna phone uthate ho, tab tak wo kuch nahi karega jab tak aap use batate nahi kya karna hai. Saari computer tech bas aapke instructions ka wait kar rahi hoti hai!
Isliye, hum inko use kar sakte hain - games khelne ke liye, navigational help ke liye, aur shayad ek din self-driving cars bhi banayein! Mujhe lagta hai agar aap zindagi bhar is technology ko samajhne ki koshish hi nahi karte, toh woh ajeeb baat hai. Mera maanna hai aapko programming seekh leni chahiye, taaki aap computer par control rakh sako.
Yaad rakhna, computers akele mein itne bhi smart nahi hote. Hum hi unko knowledge dete hain. Humein unki language seekhni padegi, kyunki humari language unhe sikhana bahut muskil hai. Isliye mai aapko sikhane aaya hon taaki aap world ko computer ki nazron se dekh sako.
Ek programmer ki tarah, hum computer resources ka use karke end user ke goals ko pura karte hain. Kabhi kabhi, hum khud hi end user hote hain! Programming seekhne ke bahut faayde hain. Kuch log isse apni career badhaana chahte hain, aur paise bhi kamaana chahte hain. Lekin pehle hum aapke liye aise programs likhenge jo aapke roz ke problems solve kare.
Chahe aap accountant ya lawyer kyun na ho, agar aapko koi data analyze karni ho, toh khud program banake analysis kar sakte ho. Mera plan hai aapko computer user se computer creator mein badal doon. Abhi aap computer ko bahar se dekh rahe ho - main chahta hoon aap andar jao aur bahar dekho.
Jab hum programming karte hain, toh computer resources ka use karke user ke goals pura karte hain. Kuch examples yaad dilata hoon - jaise Macarena gaana jo dance steps deta hai. Maine jaanbujh kar typing mistakes daali hain. Insan toh turant unhe correct kar lete hain, lekin computer nahi kar payega. Isliye humein coding mein syntax ka dhyan rakhna hoga.
Aage main aapko thodi text dikhaunga, aur aapko har word count karke batana hoga common word kya hai. Computers text analysis mein bahut tez hote hain, kyunki wo text ko turant process kar sakte hain. Main aapko aisa code dikhana chahta hoon jo files kholke, har word count kare, aur most common word bataye. Kuch hafto mein aap bhi aisa code likh sakoge!
Agle video mein main computer hardware architecture ke bare mein baat karunga, jo aapko programming karte hue kaam aayega.
Thank you aur coding seekhne ke liye all the best!
Post a Comment